Naya ghar, wahi society — lekin sab kuch badal gaya.
Naye walls, naye corners, naye vibes. Purani chizein bhi nayi jagah pe ajnabee si lagti hain. Us din hum shift hue the. Zyada kuch set nahi hua tha, lekin doston ka milna tay tha.
Medical condition chal hi rahi thi... aur honestly, uss din maine uske baare mein socha bhi nahi. Bas sabko bulaya, jo ho saka, arrange kiya. Har kisi ki zarurat ka dhyan rakha... khana bhi bahar se mangwaya, sabko serve bhi kiya.
Lekin kuch cheezein hoti hain jo samajh se pare hoti hain.
Kuch log hote hain jo ghar mein bulane par deemak ki tarah ghus jaate hain — dheere dheere, chupke se, aur sab kuch kha jaate hain — vibes, comfort, boundaries.
Ek mohtarma boli: “Mango shake kaun kaun piyega?”
aur Sab ne haath utha diye.
Mahutarma boli “Theek hai, main bana leti hoon.”
Mohtarma : “Tumhari kitchen hai, bata do kaha kya rakha hai, main sambhal loongi.”
Meine Sure… keh diya. Main chal padi Mahutarma ko samjhaane.
Tabhi meine socha machar horahey hai yeh tape lag jaye to shayad kum hojaye to fir meine apne pati ko awaaz lagayi: “Sunno, idhar aana.”
mere pati lambi height ke hai, toh shayad kaam aa jaye — bola: “Yeh tape yahan laga do net pe, bahut machhar aa rahe hain.”
Pati ke paas haan ya na ka option hi kaha tha — keh diya: “Theek hai, kar deta hoon.”
Wahi khadi mahutarma aam kaat rahi thi mango shake ke liye.
Shayad usse laga dusre ke pati ka bhi kuch waqt aur energy use kar sakti hoon. Ya fir... ek mauka tha, jahan dusra ka pati bhi apna lag raha tha.
Usne apne haathon se mango slice mere pati ko khila diya.
Aur mere pati kha bhi liya.
Usi moment mere pati key chehre par guilt aaya... jaise realise hua — yeh nahi hona chahiye tha.
aur yeh sub mei side mei khadhi dekh rahi hoon, aur mujhe samjh nahi aara hai ki mei ab kya karu so Main chup chaap bahar aagayi.
Us waqt mujhe samajh nahi aaya ki main yahan kyun hoon. Yeh sab kyun hua.
Mera pati chup chap ek side mein akar baith gaya.
Pata nahi usne realise kiya ya nahi, lekin itna to samajh gaya ki maine dekha tha.
Us waqt ghar mein sab log the, toh bawaal karna sahi nahi tha.
Main apna gussa, apne expressions sambhal rahi thi.
Par andar se toofan tha.
Bas itna poocha dhirey sey :
“Yeh kya kiya tumne?”Kya main karti toh sahi lagta?
Koi jawab nahi aaya. Bas jawab aaya : “Galti ho gayi.”
Galti?
“Aise kaise galti ho jaati hai? Mujhse to nahi hui 15 saal mein. Kabhi nahi. Toh tumse kaise?”
“Mujhe samjhao please. Tumhari body allow kaise kar deti hai aisa karna? Tumhara reflex kahan tha uss waqt?”
Mahutarma apni flight ke liye packing mein lag gayi.
Mere pati unhe drop karke laut aaye.
Dheere dheere sab log nikal gaye.
Aur phir aayi khamoshi. Woh khamoshi jismein sirf meri awaaz thi — toot-te bharose ki, dabey gusse ki, aur unsuni narazgi ki.
“Aise kaise ho gaya? Tumne khud par control kyun nahi rakha? Tum sirf sabka haanji-boy ban jaate ho, sabko please karne wale. Lekin main? Main kahaan hoon is equation mein? Mere emotions ka kya?”
“Tumse bas ek mango slice nahi khaya gaya… ek boundary tod di gayi. Aur uss boundary mein main kahaan thi?”
aisa kyun hota hai kuch log yeh nahi samjhtei ek chota sa moment kisi ka bharosa thod kar sapna chur chur karsakta hai.