Yeh journey… shayad kisi ke liye bhi aasaan nahi hoti.
Mujhe nahi yaad kab se main is raaste par hoon —
kab se yeh sab chal raha hai, kab se main lad rahi hoon…
shayad saal ho gaye.
Iss baar Saket ka test bhi reject ho gaya —
“adequate quantity” na hone ke karan.
Mujhe uske liye bura laga.
Socha, agar main uski jagah hoti,
to shayad main aur bhi toot gayi hoti.
Har baar jab mujhe negative result mila,
mujhe laga — galti meri hai.
Shayad mere andar hi kuch kami hai.
Par ab lagta hai, galti kisi ki nahi…
yeh sab sirf kismat ka khel hai —
thoda khatta, thoda meetha.
Shayad humari kismat mein likha hai
ki hum dono ko pehle ek saath grow karna tha,
tabhi Rab ne abhi tak yeh dua poori nahi ki.
Ho sakta hai yeh delay, ek divine timing ho.
Kabhi kabhi lagta hai,
jo log baar-baar abortion se guzar gaye,
woh bhi kisi aur nazariye se “lucky” hain.
Aur unke hisaab se,
hum apni jagah pe “lucky” hain.
Zindagi ka hisaab ajeeb hota hai na?
Kisi ke liye sukh bhi dard lagta hai,
aur kisi ke liye dard bhi sukh ban jaata hai.
Par ek baat mujhe poori guarantee se pata hai —
Mere Rab ne kabhi meri koi sachchi dua adhoori nahi chhodi.
Yeh bhi nahi chhodega. 🌸
Har journey apni ek kahani likhti hai —
kabhi aansuon se, kabhi umeed se.
Aur jab hum sabr ke saath chalte hain,
to Rab apne waqt par humara haath pakad hi leta hai.❤️